Saturday 2 July 2011



  • Tum Kisi Ko Chaho Or Woh Tumain Thukra Day To Yah Us Ke Bad Nasibi Hai. Or Us K Bad tum us ko Zabardasti Apnana Chaho To Yah Tumheray Nafs Ki Zillat hy.


  • Tum Gulab Ka Phool Ban Jao q kay Yah Phool Us Kay Hathoon main bhi KUSHBU chor jata hai jo issay masal k phenk deta hy.


  • Din ko rizk ki talash karo or raat ko usay talash karo jo tumhai rizk deta hy


  • Yeh zindagi 2 din ki hai 1 din tumharay haq mai aur 1 din tumharay mukhaalif Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.


  • Tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay.


  • Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.


  • Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay Tu sadqa de ker ALLAH se tijarat karo.


  • Apnay dushman ko hazar mouqa do k woh tumara dost ban jaye. LEKIN apna dost ko 1 bhi moqa na do k woh tumara dushman ban jaiy.


  • Barish ka Qatra Seepi or Sanp dono kay Munah mein girta hai Jab keh Sanp ussay Zehar bana deta hai aur Seep Usay Moti. Jis ka jaisa “Zarf” waisi Uss ki “Takhleeq”


  • Duniya Tumhain Us Waqt Tak Nahi Hara Sakti Jab Tak Tum Khud Se Na Haar Jao.


  • Jo Dukh day Us se Taluq na rakho aur jis se Taluq na rakho usay dukh na do.


  • Insan Gunah Kerne Ki Waja Se Jahanum Mein Nhi Jata Bal Keh Gunah Per Mutmaen Rehny Aur Tauba Na Krney Ki Waja Se Jahanum Mein Jata Hy.


  • Jo tumhain khushi mein yad aaiy, samjho tum us se muhabbat kartey ho or jo tumhain gham mein yad aaiy to samjho woh tum se muhabbat kerta hay


  • Acha Dost Kitni Dafa he kyon na rothay usay mana lena chahyay kyon k Tasbeeh k danay kitni dafa he kyon na bikhrein ikathay ker liyay jatay hain


  • Koi mumlikat Kufer ke saath to chal sakti hai magar na insaafi ke saath nahi


  • Main ne Allah Ko apney iraadon ke totney se pehchana hay


  • Jab mere dua qabool hoti hai to mujhe khushi hoti hai ke Allah ne mere dua pori ki. Aur jab mere dua radd hojati hai to mujhey aur bhi zayada khushi hoti hai ke ye mere Allah ki marzi nahi


  • Tumhari woh khamoshi jis ke baad tum se baat karney ki khawahish paida ho jaiey, tumharey uss kalam sey behtar hay jis ke baad tum ko khamosh ker diya jaiy.


  • Khoobsorati kaproun se nahe ilm o adab se hoti hay


  • Her shakhas ki qeemat woh hunar hay jo us ke ander hay


  • Woh Gunah jis ka tumhein ranj ho Allah Tala k nazdik us neki se behtar hy ji se tum mein ghuroor paida ho jaiy.


  • Ikhtiar, Taqat Aur Dolat Milney Per Log Badaltay Nahi, Balkeh Be-Naqab Hotey Hain


  • Dolat Mitti ki tarhan hy aur mitti ko pair k niche rehna chahyay. Agar Sir pe charhao gay to Qabar Ban jaiy gi Aur Qabar zinda Insano k liye Nhe hoti…


  • Sab se bari khayanat apni Qaum se Ghaddari hay


  • Gunah Jawan ka bhi bad hy magar borhay ka bad tar hay


  • Azaadi ki hifazat na kernay wala Ghulami mien griftaar h jata hay


  • Insan Dukh nahe detay, Insano se Wabasta Umeedein dukh deti hain


  • Agar Tum kisi ko chota dekh rahay ho to ya usay door se dekh rahay ho ya gharoor se


  • Jab Tum dunya ki Muflisi se tang aa jao aur Rizaq ka koi rasta na niklay to Sadqa day ker Allah se tajaarat kiya kero.


  • Agar Tum Seedhay rastay pe ho aur kisi Mushkil ka samna nahe ker rahay to kuch dair k liyay socho k kahin tum kuch ghalt to nahe ker rahay kyon k seedha rasta to mushkilaat se bhar pur hota hy


  • Tabeyat ki Narmi aur Sakhawat, insan ko Dushmnon k dilon main b Mehboob bana deti hai


  • AY ALLAH PAK, jab maine tujh se nahi manga tab bhi tu ne mujhe ataa kiya … tou ye kaise mumkin hai k main tujh se mangon or tu ataa na kare


  • Agar kisi ka BANNA chatay ho to puri HAQEQAT se ban jao… Warna,apni Zaat mein aisi HAQIQAT peda kar lo k,koi HAQIQAT main tumhara ban jaye.



  • 1 comments:

    KAMRAN MUGHAL said...

    very nice blog . how many $$ can u earn from this blog ? {i am asking just for my information }

     
    Design by Free WordPress Themes | Bloggerized by Lasantha - Premium Blogger Themes | Justin Bieber, Gold Price in India